Wednesday, 31 May 2017

Imam e Azam Abu HANIFA رحمةاللہ عليه aur 20 rakat Taraweeh

Imam e Azam Abu HANIFA رحمةاللہ عليه  se 20 rakat taraweeh ka saboot

Hazarat Imam e Azam Abu Hanifa رحمةاللہ عليه se riwayat hai ke Imam Kaum ko Namaz (Taraweeh) Padhayega aur Har do (2) Rakat par Salam Pherega aur Jab do (2) Taraweeha Padhai to do(2) Taraweeha ke Darmiyan ek Taraweeha ki Miqdar Intezar kare aur Pancho (5) Taraweeha ke Baad ek Taraweeha ka Miqdar Intezar kare fir unhe Witr Padhaye, To do (2) Taraweeha ke Darmiyan ek Taraweeha ke Miqdaar Intezar Karna Imam Abu Hanifa  رحمةاللہ عليه ke Nazdeek Mustahab hai.


حضرت امام ابو حنیفہ رحمةاللہ عليه سے روایت ہے کہ امام قوم کو نماز(تراویح) پڑھائے گا اور ہر دو رکعت پر سلام پھیرے گا ، اور جب دو ترویحہ پڑھائے تو دو ترویحہ کے درمیان ایک ترویحہ کی مقدار انتظار کرے اور پانچویں ترویحہ کے بعد ایک ترویحہ کی مقدار انتظار کرے پھر انھیں وتر پڑھائے تو دو ترویحہ کے درمیان ایک ترویحہ کی مقدار انتظار کرنا امام ابو حنیفہ رحمة الله عليه کے نزدیک مستحب ہے ۔

(الفتاوى التاتارخانيه ج٢ ،ص ٣١٨)




Friday, 26 May 2017

Ahlehadees Gair Muqallid ke Ghar ki gawahi ke Mushriqo wali ayat musalmano chispa karna kharjiyo KA tareeka

Mushriqo wali ayat Musalman Par Chispa Krna



Gair muqallideen k FATAWA ASHABUL Hadees me inka iqrar k kuffar par nazil shuda ayate musalmano par chaspa  Karna khawarijo ka kaam hai, aur inhone sabse pehle sahaba par maula Ali radi Allahu anhu aur Hazrat muaviya radi Allahu anhu par shirk o kufar ka fatwa dia Quran ki ayat se galat Matlab nikal kar .. 

Jaisa k aj ke wahabiyat karte hai Quran ki ayat Jo kufar o mushrikeen par nazil hui hai  musalmano par chaspa karte hai ..

Unse b hamara wahi jawab hai Jo maula Ali ne us waqt k khawrij ko dia tha .. ..

Quran ki ayat apni jagah sahi , Quran bat bilkul sahi hai , magar tmhra qiyas o istedlal batil hai Jo tum galat maana nikalte ho ye hai ye batil o mardood hai ..

ALLAH sabko inke sharr se bachaye ..

Aameen ..

Saturday, 20 May 2017

Kya Quran ko samjhna aasan hai?

Kya Quran ko samjhna aasan hai?


Agar Quran ko samjhna itna hi aasan hota jitna yeh wahabi bolte hai to Quran ki yeh ayat KA Kya matlab hoga

Surah 21 ayat 7

Ae logo ilm walo se pucho agar tumhe ilm na ho

Yaha khud Quran keh raha hai ilm walo se pucho aur tum kehte ho khud hi samjho ab kiski baat maane Quran ki ya wahabi ki

Ilm walo se puchne KA maqsad Kya hai

Surah 2 ayat 26

Allah bahutro ko is (Quran) se gumrah karta hai aur bahutro ko Hidayat farmata hai aur is (Quran) se unhe gumrah karta hai jo behukm hai

Yaha to Allah subhana farma rahe hai ki Quran padhkar kuch log gumrah ho jayenge aur kuch Hidayat payenge agar Quran samjhna itna aasan hota to yeh ayat kyun nazil hoti



Surah Al Imran ayat 7

Wahi hai jisne tum par yeh kitab utari iski (Quran) ki kuch ayate saaf maana rakhti hai woh kitab ki asal hai aur dusri woh hai Jin ke maana me istabah hai woh Jin ke dilo me kaji hai woh istebah wali ke piche padte hai gumrahi chahne aur uska pehlu dhundhne ko aur uska thiq pehlu Allah hi ko maloom hai aur pukhta ilm wale kehte hai hum is par imaan laye sab hamare rab ke pass se hai aur nasihat Nahi maante magar aqal wale

Upar ayat me saaf likha hai kuch ayate saaf wajeh (clear) meaning wali hai aur kuch ayate istebah (jiska meaning clear Nahi hai/matlab chupa hua hota hai) hai. Ab kaise pata chalega kaunsi ayat muhakam hai aur kaunsi mutashabehat hai bagair ilm ke to log kaise samjhenge


Hadees 01 : 

Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se rivaayat hai ke, Rasool Allah  صلى الله عليه و آله وسلم   ne Farmaya
"‏ مَنْ قَالَ فِي الْقُرْآنِ بِغَيْرِ عِلْمٍ فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنَ النَّارِ ‏"
“Jo Shakhs ne Qur’an me (Baghair Ilm ke) apni Raa’i chalaayi Wo Apna Thikaana JAHANNUM me bana le.”
Reference :
(Jamai Tirmizi, Vol : 04, Kitab No 47 - Kitab Tafseer Al Quran, Hadees : 3204)

Hadees 02 : 

Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se rivaayat hai ke, Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم  ne Farmaya
"‏ وَمَنْ قَالَ فِي الْقُرْآنِ بِرَأْيِهِ فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنَ النَّارِ
“Jo Shakhs baghair Ilm ke Qur’an me Kalaam kare, Wo Apna Thikaana JAHANNUM me bana le.”
Reference :
(Jamai Tirmizi, Vol : 04, Kitab No 47 - Kitab Tafseer Al Quran, Hadees : 3205)

Is hadees se saaf Zahir ho Gaya ki bagair ilm ke apni rai se Quran samjhne wala jahannami hai

Ab kiski baat maane Quran aur hadees ki ya wahabi ki