Kya Quran ko samjhna aasan hai?
Agar Quran ko samjhna itna hi aasan hota jitna yeh wahabi bolte hai to Quran ki yeh ayat KA Kya matlab hoga
Surah 21 ayat 7
Ae logo ilm walo se pucho agar tumhe ilm na hoYaha khud Quran keh raha hai ilm walo se pucho aur tum kehte ho khud hi samjho ab kiski baat maane Quran ki ya wahabi ki
Ilm walo se puchne KA maqsad Kya hai
Surah 2 ayat 26
Allah bahutro ko is (Quran) se gumrah karta hai aur bahutro ko Hidayat farmata hai aur is (Quran) se unhe gumrah karta hai jo behukm haiYaha to Allah subhana farma rahe hai ki Quran padhkar kuch log gumrah ho jayenge aur kuch Hidayat payenge agar Quran samjhna itna aasan hota to yeh ayat kyun nazil hoti
Surah Al Imran ayat 7
Wahi hai jisne tum par yeh kitab utari iski (Quran) ki kuch ayate saaf maana rakhti hai woh kitab ki asal hai aur dusri woh hai Jin ke maana me istabah hai woh Jin ke dilo me kaji hai woh istebah wali ke piche padte hai gumrahi chahne aur uska pehlu dhundhne ko aur uska thiq pehlu Allah hi ko maloom hai aur pukhta ilm wale kehte hai hum is par imaan laye sab hamare rab ke pass se hai aur nasihat Nahi maante magar aqal waleUpar ayat me saaf likha hai kuch ayate saaf wajeh (clear) meaning wali hai aur kuch ayate istebah (jiska meaning clear Nahi hai/matlab chupa hua hota hai) hai. Ab kaise pata chalega kaunsi ayat muhakam hai aur kaunsi mutashabehat hai bagair ilm ke to log kaise samjhenge
Hadees 01 :
Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivaayat hai ke, Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم ne Farmaya" مَنْ قَالَ فِي الْقُرْآنِ بِغَيْرِ عِلْمٍ فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنَ النَّارِ "
“Jo Shakhs ne Qur’an me (Baghair Ilm ke) apni Raa’i chalaayi Wo Apna Thikaana JAHANNUM me bana le.”
Reference :
(Jamai Tirmizi, Vol : 04, Kitab No 47 - Kitab Tafseer Al Quran, Hadees : 3204)
Hadees 02 :
Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivaayat hai ke, Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم ne Farmaya" وَمَنْ قَالَ فِي الْقُرْآنِ بِرَأْيِهِ فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنَ النَّارِ
“Jo Shakhs baghair Ilm ke Qur’an me Kalaam kare, Wo Apna Thikaana JAHANNUM me bana le.”
Reference :
(Jamai Tirmizi, Vol : 04, Kitab No 47 - Kitab Tafseer Al Quran, Hadees : 3205)
Is hadees se saaf Zahir ho Gaya ki bagair ilm ke apni rai se Quran samjhne wala jahannami hai
Ab kiski baat maane Quran aur hadees ki ya wahabi ki
Maine Quran nasihat basil Karne ke liye aasan Kar Diya hoo.
ReplyDeleteyeh kya hai?
Deletekya aapka imaan Quran ki jo ayat upar bayan ki hai us par hai ya nahi?
Delete